Posts

Tanha- incomplete

Mai sooraj aasmaan mein Mera Noor saare jahaan mein Har khilte saveray Ka Mai ujala Har rang meri oadh mein niraala Mai sooraj, ek chamakta hua taara Har Jeevan Ka Mai Sahara Meri narmi se Jeevan panapte Mere dhalne pe khwaab sawarte Mai sooraj aasmaan mein, magar akeyla, Aangan mein mere sirf sholoan Ka basera Mai jalta hoon par jalana meri khwahish Nahin Paas aake mere raakh na bane, aisi koi gunjaaish Nahin..

Bleeding stones

Image
  let me write to you, a story tonight. Of what lies within, hidden from the light.. let me write to you of the euphoria you felt. of the tenderness and warmth, which made your heart melt... let me write to you, of the promises we made. of a sweet song of life, an unending serenade. let me write to you, of the person you loved.. of the charms for which you fell and the loving you loved.. let me write to you, of your desire to know. of my guarded prisons, the ones you forced me to show.. let me write to you, of your agony and disbelief. at the sight of my soul, which was only so brief... let me write to you, of how you fell apart.. at my numbness to pain, and the stone like my heart.. let me write to you, of how you mis-believed.. that my love wasn't true, and you were deceived . let me write to you, of your love for me.. at how you could not stand, a part of the real me... let me write to you, of that which you shall never read... of that stone you thought i had, which in darkness ...

Bay Sharoor Ishq.

kahin ek ashq bahaa, kahin ek moti giraa.. kahin ek parda laga, kahin armaan dabey ... kahin nazarein chook gayi,  kahin tassavur bhar pade... nazariyoan ke antar ke na jaaney kitney,  Iss duniya mein  shikaar baney .... kahin koi pathar se na toota .. kahin koi pattey se bikhra .. Kahin kisi ne ungli pe pahaad utha liya .. kahin koi sirf baatoan tale dab gaya... na jaane iss insaani fidrat ke farq tale,  duniya mein kitney  rishtey nasoor ban gaye ... kahin ek qatre se pyaas bhuji .. kahin jharna bhi poora na hua .. kahin ek daane ki aas lagi .. kahin taikhaanoan mein jagaah na rahi ... muktaalif (different) haalaatoan ki kasauti par na jaaney, kitney  jeevan qurbaan ho gaye ... kahin duniya mein mai basa.. kahin kisi nagar mein tera aashiyaan saja kahin mai kisi aur rang ka bana kahin tu kisi aur dhang mein pali tere mere beech ki atkalein to muqarrar (destined) hain phir bhi dekh kudrat ka karishma ... ki teri aur meri rooh,  noor aur saayoan si...

Khudgarz Mohabbat!

... ye sachh hai ki mai tujhse  mohabbat  karta hoon, Tere nahin, apne liye tujhse  mohabbat  karta hoon, Ye  mohabbat  khairaat nahin begharz nahin, Ye  khudgarz   mohabbat  hai, is par kisi aur ka koi haq nahin, mutlaba nahin.   Ye sacch hai, ki  khudgarz  meri  mohabbat  hai, Har pal mein mujhe, tere ehsaas ki zaroorat hai, Har tassavur mein mere, chaayi bas teri hi seerat hai. Har ashq mera, bas tere dard ke liye ab behta hai.. Har lamha mera, tere tabassum se hi roshan rehta hai..   Ye sacch hai, ki  khudgarz  meri  mohabbat  hai, Kaise na ho, jeeney ke liye, mujhe, teri zaroorat hai. Tu parchayi hai meri, tu hai to har waqt savera hai.. tu jo nahin, to jeevan meing sirf andhera hai.. Ye sacch hai, ki  khudgarz  meri  mohabbat  hai.  .....