Bay Sharoor Ishq.


kahin ek ashq bahaa, kahin ek moti giraa..
kahin ek parda laga, kahin armaan dabey ...
kahin nazarein chook gayi, kahin tassavur bhar pade...
nazariyoan ke antar ke na jaaney kitney, 
Iss duniya mein shikaar baney ....


kahin koi pathar se na toota ..
kahin koi pattey se bikhra ..
Kahin kisi ne ungli pe pahaad utha liya ..
kahin koi sirf baatoan tale dab gaya...
na jaane iss insaani fidrat ke farq tale, 
duniya mein kitney rishtey nasoor ban gaye ...


kahin ek qatre se pyaas bhuji ..
kahin jharna bhi poora na hua ..
kahin ek daane ki aas lagi ..
kahin taikhaanoan mein jagaah na rahi ...
muktaalif (different) haalaatoan ki kasauti par na jaaney, kitney jeevan qurbaan ho gaye ...

kahin duniya mein mai basa..
kahin kisi nagar mein tera aashiyaan saja
kahin mai kisi aur rang ka bana
kahin tu kisi aur dhang mein pali
tere mere beech ki atkalein to muqarrar (destined) hain
phir bhi dekh kudrat ka karishma ...
ki teri aur meri rooh, noor aur saayoan si ek ho chali

Comments

Popular posts from this blog

Bleeding stones

Khudgarz Mohabbat!